Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zindagi Ki Haqiqat Main Kia Jaanon Main Tu Awara Hon

zindagi ki haqiqat main kia jaanon main tu awara hon
naam ko chhor kaam ki baat kar par main tu nakara hon
zindagi ko chhor k moot ko jeney nikla main
zindagi ko jo ada na kar saka wo ik kafara hon
raat ki tarikeon main chamkta raha dosrey sitaron k saath
waqtey sehar main jo reh gia tanha wo ik sitara hon
choota saath har kissi ka par na choota saath samandar aur kinarey ka
chhor dyea saath jis ka samandar ney wo ik kinara hon
dunyea hey ik essi aag jo jalti hey tu bharkti jati hey
aur main, jaltey hee buj ghea aisa ik sharara hon
tera saath nibhaney ka wada keunkar karon bilal
main tu apna na ho saka tu keun kahon k tumhara hon

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zehn K Khayalon Mein

Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein

Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein

Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein

Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi

Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Naveed Shehzad

Wisaal O Hijr Me

wisaal-o-hijr me
ya khwab se mahroom aankhon me
kisi aehd-e-rifaqat me
ke tanhai ke jangal me
khyal-e-khal-o-khad ki roshani ke gahre baadal me
chamkti dhoop me ya phir
kisi be abr saye me
kahin baarish me bhige jism-o-jaan ke nasrparon me
kahin hoton pe shairon ki mahaktie aabsharon me
chiraghon se saji shaamon me
ya benoor raaton me
sahr ho runuma jaise kahin baaton hi baaton me
koi lipta hua ho jis tarah
sandal ki khushboo me
kahin pe titliyon ke rang tasweeren bana te hon
kahin pe jugnuon ki muthiyon me roshani khud ko chupati ho
kahin kaisa hi manzar ho
kahin kaisa hi mausam ho
tere saare hawaley ho
teri saari misalon ko
muhabbat yaad rakhti hai

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Naveed Shehzad

Sirf Do

mohabbat to janaa
hoti hai do kay dermian

aur phir jo koe bhi aata hai baad mein
woh teesra hay

so tumhein kesay sumjhaayein
ana to koi teesra hay
jo meray tumhaaray
dermiaan khara hay

aao toR dein is tikon ko
phir sey bun jaaien
sirf do

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 21:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Bay Zameen Logon Ko

Bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
badnaseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay

bay nishan jazeeron par
badguman shahron mein
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay

rok dain ya barhnay dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
tor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay

ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki raakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Merey Mohsinon Merey Doston

merey mohsinoN merey dostoN mujhey zindagi ki dua na do
maiN to pyar ke qaabil nahiN mujhey dil meiN itnee jagah na do

mujhey shauq-e-zeest na rahaa mujhey zindagi ne diya hai kya
maiN marooN yeh mujh ko haque to hai, maiN jiyuN yeh mujh ko sazaa na do

woh baney thay merey jo humsafar wohi chal diye mujhey chhor keh
maiN jahaN se aaya hooN ghamzada, mujhey phir waheen se sadaa na do

is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do

ALMAS is dayaar meiN ik saya-e- diwaar maiN
maiN jo so gayaa hooN chain se mujhey neend se phir jaga na do

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Hafeez Ur Rehman

Pyar Ki Shamma Jala Kar To Dekho

Pyar Ki Shamma Jala Kar To Dekho
Zara dil Ki Dunya Saja Kar To Dekho
Ho Na Jay Muhoobat To Kehna
Zara hum Se Nazreen Mila Kar To Dekho

· 1 Like · Nov 17, 2018 at 23:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Mere Liye Namumkin Hai Par Tum Bhi Nahi Kar Paao Ge

Mere liye namumkin hai par tum bhi nahi kar paao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Khushi ka yeh mauqa ke tum manzil ko paa rahe ho
par yeh gham zaroor hai ke mujh se door jaa rahe ho

Dekho jaate jaate tum meri simt na dekhna
Aur na hi koi khayaal mera apne dil mein uss pal rakhna

Warna tum bhi ro do ge aur mujh ko bhi rulaao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Jo pal sath bitaaye woh yaad yaqeenan aayein ge
Kabhi karein ge namm naina, aur kabhi hansayein ge

Jab yaad meri aaye gi tau tum chaand ko dekha karna
Meri nazar hai waheen kehin bas yeh socha karna

Koi bhi halaat hon aise mein tum muskuraao ge
Hum judaa ho jayein ge tau tum dil ko kya samjhaao ge

· 2 Like · Nov 17, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Fareed

Mere Wajud Me Kash Vo Utar Jaye

Mere wajud me kash vo utar jaye,
Me dekhu aaina or vo najar aaye,
Vo ho samne or waqt thahar jaye,
Ye zindagi unhe yuhi dekhte hue gujar jaye.

· 2 Like · Nov 17, 2018 at 11:11
Category: poetry-sms
 
Kamar Dard
Posted by madiha shahid
Posted on : Oct 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS