Poetry / Love

Rashid Chaudhary

Jiss Din Se Juda Wo Hum Se Hoe

jiss din se juda wo hum se hoe
is dil ne dharakna chor diya
hai chaand ka moun bhi utra utra
taaro ne chamkna chor diya

· 1 Like · Dec 08, 2018 at 04:12
Category: love
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Sawal

Hathelion mein itna tazad kiu hy?
apni aur meri hatheli ko mila kr
ghum sum bethey achanak Sawal krta
iss liye!
ky shaid!!!
nadi ky do kinaron ky darmiyan
ansoon ka darya hy!!
aur phir!
hatheliyan achanak tar si ho jatein

· 1 Like · Dec 07, 2018 at 20:12
Category: 0
 
Poetry / Love

Nadeem Jamal

Tera Husan Aik Sarab Tha,mera Ishq Aik Fareb

Tera Husan Aik Sarab Tha,Mera Ishq Aik Fareb.
Yeah To Zindagi Key Asool They,Kabi Mujh Sey Tu Jo Gula Mila.
Esi Aab-o-Gul Sey Baney hien sab, Mager Appna appna Mazaj hai.
Mujhey Zindagi Ki Kasak Mili, Tujhey Zindagi Ka Maza Mila

· 0 Like · Dec 07, 2018 at 13:12
Category: love
 
Poetry / Relegious

Nadeem Jamal

Mohammad(s.a.w)

MERY HAaTOn OR MERY HONTO SE TO KHUSHBO JATI NAHI
K MENE ISaM E "MOHAMMAD (S.A.W)" KO LEKHA HAI BOHAT OR CHUMA HAI BOHAT

· 2 Like · Dec 07, 2018 at 05:12
Category: relegious
 
Poetry / Love

Nadeem Jamal

Zanjeeren

Buland hatho me zanjeeren daal dete hain
Ajeeb rasam chali hai dua na mangay koi

· 2 Like · Dec 06, 2018 at 21:12
Category: love
 
Poetry / Love

Nadeem Jamal

Ik Shakhs Jo Mera Yar Hota Tha

ik shakhs jo mera yar hota tha
apny sy ziada us peh aitibar hota tha

phir yon howa k muj sy roth geya wo shaid
warna na muj sy uska takrar hota tha

donoo main thi rafaqatian aur ulfatain b thi
usko b shaid muj sy bohat payar hota tha

ik din yon howa k rabtaiy b na rahay
jiskay didar ka ham ko intizar hota tha

samaj saka na muj ko NAZ bus dukh hai yahi
warna to us peh jan-o-dil nisar hota tha

· 1 Like · Dec 06, 2018 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Pahale To Apane Dil Kii Razaa Jaan Jaiye

pahale to apane dil kii razaa jaan jaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaiye


pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaiye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaiye


kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dhaDakane
merii sunen to dil kaa kahaa maan jaiye


ik dhuup sii jumii hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap peh qurbaan jaiye


shaayad huzuur se koii nisbat hamen bhii ho
aaNkhon mein jhaaNk kar hamen pahachaan jaiye

· 1 Like · Dec 06, 2018 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Har Bezabaan Ko Sholaa Navaa Kah Liyaa Karo

har bezabaaN ko sholaa navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo

Khud ko fareb do k na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaan-e-vafaa keh liyaa karo

gar chaahate ho Khush rahen kuchh bandagaan-e-Khaas
jitne sanam hain un ko Khudaa keh liyaa karo

insaan kaa agar qad-o-qaamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa keh liyaa karo

apne liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa keh liyaa karo

le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diya keh liyaa karo

· 1 Like · Dec 05, 2018 at 22:12
Category: love
 
Poetry / Songs Lyrics

Abdul Rehman Rehman

Zindagii Men To Sabhii Pyaar Kiyaa Karte Hain

zindagii men to sabhii pyaar kiyaa karte hain
main to mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuNgaa

tuu milaa hai to ye ehasaas huaa hai mujhako
ye merii umr mohabbat ke liye thoDii hai
ik zaraa saa Gam-e-dauraa kaa bhii haq hai jis par
main ne wo saaNs bhii tere liye rakh chhoDii hai
tujh peh ho jaauNgaa qurabaan tujhe chaahungaa

apne jazbaat men naGmaat rachaane ke liye
main ne dhaDakan kii tarah dil men basaayaa hai tujhe
main tasavvur bhii judaaii kaa bhalaa kaise karuN
main ne qismat kii lakiiron se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigehabaan tujhe chaahungaa

terii har chaap se jalte hain Khayaalon men chiraaG
jab bhii tuu aaye jagaataa huaa jaaduu aaye
tujhako chhuu luuN to phir ae jaan-e-tamanna
mujhako
der tak apane badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaron kaa hai unawaan tujhe chaahuNgaa

· 5 Like · Dec 05, 2018 at 16:12
Category: songs-lyrics
 
Lahore,Pakistan..How Many LIKES ??
Posted by asiya faheem
Posted on : Mar 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS