Search
Social Wall / Text
Mehwish Jatt
Qabr Ko Yaad Rakh
Chahay hamara ghar kitna bhi barra ho, hamare kapray kitne hi mehnge hon, hum kitne hi ameer hon lekin hum sab ki qabrain aik si hon gi.
·
0 Like ·
Dec 03, 2018 at 20:12
Category: text
Poetry / Love
Wafa Chaudhry
Main Chupke Se Us Ki Ankhon Pe Hath Rakh K Pochon Btao Kon Hun Men.
Me ne Chupke Se us ki Ankhon Pe Hath Rakh Ke
Pochon Btao Kon Hun Mein
Wo Muskura Kar Dheeme Se Keh De "Meri Zindigi Ho Tum"
#poetry #lovepoetry
/>
Pochon Btao Kon Hun Mein
Wo Muskura Kar Dheeme Se Keh De "Meri Zindigi Ho Tum"
#poetry #lovepoetry
/>
·
6 Like ·
Aug 17, 2018 at 09:08
Category: love
Advertisement
Social Wall / Text
Fahad Yousuf
Haath Par Haath Rakh Kar Beth Jana Tawakkal Nahee Susti Hoti Hai
haath par haath rakh kar beth jana tawakkal nahee susti hoti hai, tawakkal hota hai ke ham ne kaam shuru karna hai uss ke honay ya na honay ka fesla Allah par chhore dena.
·
3 Like ·
Jul 18, 2018 at 06:07
Category: text
Poetry / Sad
Minu Malik
Itna Hi Yaad Rakh
Itna hi yaad rakh mujhe
Jaise beetay dinon ki kisi kitab mai
Koi phool rakha ho
Rang urra urra sa ho
Par wo ajnabi na ho
Jaise beetay dinon ki kisi kitab mai
Koi phool rakha ho
Rang urra urra sa ho
Par wo ajnabi na ho
·
0 Like ·
May 20, 2018 at 19:05
Category: sad
Poetry / General
Sakeena Hussain
Parh Parh Kitaban Ilam Diya Tu Naam Rakh Leya Qazi
·
2 Like ·
Mar 22, 2018 at 22:03
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya
Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya
Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya
Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya

1 Like ·
Jan 03, 2018 at 06:01
Category: sad
Poetry / Love
Meray Har Amal Ko Nazer Main Rakh
Meray har amal ko nazer main rakh, meri chahatoon ka silla na dey
Main chragh-e-aakhir-e-shab sahi, mujhey berukhi ki saza na dey
Mujhey dushmanoo sey gila nahi, sila dostoon sey mila nahi
Mujhey jitna jeena tha jee chukka, mujhey aur jeenay ki dua na dey
Ye gaye dinoo ki baat hai, issi rah pe tum meray saath thay
Main naye safar pe hoon ga gamzan, mujhey duur jaa kay sadaa na dey
Mera hurf hurf hai dil-nasheen, kahin tu tau es main makeen nahi
Ye junoon-e-shooq-e-sukhan kahin, tera chehra sub ko dikha na dey
Ye talaash-e-baab-e-wafa sufer, mujhey tum sey duur tha lay gaya
Palat ker aaon ga yaad rakh, tera shehar mujh ko bhula na dey
Main bhula nahi bura sahi, mujh sey koi gila sahi
Tera baat baat pe roothna, naii rah mujh ko dikha na dey...!

Dec 06, 2017 at 03:12
Category: love
Poetry / Love
Apney Jazbaat Ankh Mein Rakh Lo
Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo
Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo
Din se jana kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo
Main hu mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo
Jin se khawabon mein rang bhar jayen
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo
Shahi hum se wafa paraston ki
Koi to baat ankh mein rakh lo...!
Bus yehi baat ankh mein rakh lo
Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo
Din se jana kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo
Main hu mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo
Jin se khawabon mein rang bhar jayen
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo
Shahi hum se wafa paraston ki
Koi to baat ankh mein rakh lo...!
·
1 Like ·
Dec 02, 2017 at 06:12
Category: love
Poetry / Love
Itna He Yaad Rakh Mujhe
Itna he yaad rakh mujhe
Jesay kisi kitaab mein
Beetay dino k dost ka
Aik khat para hua mile
Lafz mitey mitey sahi
Rung urha urha sahi
Lekin wo ajnabi na ho...!!!!
Jesay kisi kitaab mein
Beetay dino k dost ka
Aik khat para hua mile
Lafz mitey mitey sahi
Rung urha urha sahi
Lekin wo ajnabi na ho...!!!!
·
1 Like ·
Oct 20, 2017 at 23:10
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Boseeda Purane Kisi Samaan Main Rakh De
Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de
Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de
Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de
Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de
Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de

Jan 10, 2017 at 14:01
Category: love
Sponored Video