Search
Poetry / Poetry Sms
Abdul Basit
Teri Khusboo Ka Taaqub Karo Mosam Mosam.
Teri khusboo ka taaqub karo mosam mosam
tu mere hath mai aye tu hawaa ho jaun
tu mere hath mai aye tu hawaa ho jaun
·
0 Like ·
Apr 19, 2018 at 23:04
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mosam Badal Gaye Zamane Badal Gaye
Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,
Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,
kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,
Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,
Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

2 Like ·
Feb 22, 2018 at 03:02
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Anmol Rubab
Mosam, Khushbu Bad E Saba
Mosam, Khushbu Bad-E-Saba Chand Shafaq Or Taron Mein...
Koun Tumhare Jaisa Hai Waqt Mila Tu Soche Gay
Koun Tumhare Jaisa Hai Waqt Mila Tu Soche Gay
·
1 Like ·
Feb 09, 2018 at 04:02
Category: love
Poetry / Humorous
Aaj Mosam Mein Kuch Ajeeb Si Baat Hay
Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat hay,
bekabu se hamare jazbat hein,
ji chahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karna buri baat hay...!
bekabu se hamare jazbat hein,
ji chahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karna buri baat hay...!
·
2 Like ·
Nov 09, 2017 at 08:11
Category: humorous
Poetry / Sad
Ye Udasiyon K Mosam
Inhi khushgumaniyoun me
kahin jaan se b na jao
wo jo chaara gar nahi hy
usy zakhm kyu dikhao
ye udasiyon k mosam
kahin raye gaan na jaain
ksi zakhm ko kuraido
ksi dard ko jagao
wo kahaniyaan adhori
jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyu sunaon
unhain tum b kyu sunao?
mere humsafar purany
main ab bhi muntazir ho
tumhain sath chorna hy
to abhi se choar jao
ye judaiyon k rasty
bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na loota
meri baat maan jao
ksi bewafa ki khatir
ye junon Faraz kab tak
jo tumhain bhula chuka hy
usy tum b bhool jao......!!!
kahin jaan se b na jao
wo jo chaara gar nahi hy
usy zakhm kyu dikhao
ye udasiyon k mosam
kahin raye gaan na jaain
ksi zakhm ko kuraido
ksi dard ko jagao
wo kahaniyaan adhori
jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyu sunaon
unhain tum b kyu sunao?
mere humsafar purany
main ab bhi muntazir ho
tumhain sath chorna hy
to abhi se choar jao
ye judaiyon k rasty
bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na loota
meri baat maan jao
ksi bewafa ki khatir
ye junon Faraz kab tak
jo tumhain bhula chuka hy
usy tum b bhool jao......!!!
·
1 Like ·
Aug 21, 2017 at 11:08
Category: sad
Poetry / Sad
Baarishon K Mosam Mein
Baarishon K Mosam Mein,
Waqt K Andheron Mein,
Mein Ne Uss Se Poocha Tha
Choar To Na Jaao Gi?
Haath Thaam Kar Uss Ne,
Kaan Mein Ye Bola Tha,
Kaisay Chorr Sakti Hoon?
Tum To Jaan Ho Meri,
Aur Aaj Aisa Hai,
Waqt Ki Tamazat Mein,
Wehshaton K Mosam Mein,
Mein Ne Uss Se Poocha Hai,
Choar Kar He Jaana Tha,
Muskurati Galiyon Mein,
Aas Kyun Dilai Thi?
Pyaas Kyun Jagai Thi?
Merey in Sawalon Par,
Na Wo Chonki Na Wo Thehri,
Chalte Chalte itna Kaha
MOSMON K KHEL HAIN SAB....!
Waqt K Andheron Mein,
Mein Ne Uss Se Poocha Tha
Choar To Na Jaao Gi?
Haath Thaam Kar Uss Ne,
Kaan Mein Ye Bola Tha,
Kaisay Chorr Sakti Hoon?
Tum To Jaan Ho Meri,
Aur Aaj Aisa Hai,
Waqt Ki Tamazat Mein,
Wehshaton K Mosam Mein,
Mein Ne Uss Se Poocha Hai,
Choar Kar He Jaana Tha,
Muskurati Galiyon Mein,
Aas Kyun Dilai Thi?
Pyaas Kyun Jagai Thi?
Merey in Sawalon Par,
Na Wo Chonki Na Wo Thehri,
Chalte Chalte itna Kaha
MOSMON K KHEL HAIN SAB....!
·
1 Like ·
Aug 18, 2017 at 01:08
Category: sad
Poetry / Sad
Bahaaron Ka Haseen Mosam Kahin Say Sath Lana Tum
khizaoon ki udasi hai,jo ab tak dil pay chhai hai
bahaaron ka haseen mosam kahin say sath lana tum
yeh maana aur bhi tum ko jahaan men hain bohat say gham
magar duniya kay mailon men hamen na bhool jana tum
meray ashaar hain jitnay hain tumharay naam karta hoon
ghazal meri suno jab bhi ghazal men doob jana tum
agar tum say kabhi koi,meray baaray men poochay to
faqt itni si khawahish hai,mujhay apna batana tum
koi jab alvidai mosamon ka zikar cheray to
nami aankhon men mat rakhna hamesha muskarana tum...!

Jul 21, 2017 at 12:07
Category: sad
Poetry / Sad
Yeh Zindagi Kay Niralay Mosam Humain To Ab Tak Samajh Na Aaey
Merii Nigaahon kay Ainay meiN haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mata-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay
yeh Zindagi kay Niralay Mosam humain to ab tak samajh na aaey
jo yaad gaar-e-Hayaat thehray thay ab tak wohi wabaaL Lamhay
Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL k bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gaey haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay
Humain bhala kab khabaR thi JanaN humain bhaLa kab pata tha Jana
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gay aise bhi chaaL Lamhay
Humain to apna aap bhii ab shafaf dikhta nahi hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gaey haiN yeh kesi Gard-e-malaaL Lamhay

Jun 20, 2017 at 20:06
Category: sad
Poetry / Sad
Mosam E Gul Ka Akhari Paygham
MOSAM-e-Gul Ka Akhari PAYGHAM
Jab ye Socho K Bhar Chuka Hai Dil
Meri Chahat Meri Rafaqat Se
Khud Ko Waqf-e-Azaab mat Krna
Lamba Choora KHITAB mat Krna
Card KA bhi INTAKHAB mat Krna
Aik Sokha Hoa Gulab Ka Phool
Bas LIfafay main bheej daina Tum
Meri Tashna Mohabbton k NAM
Mosam-e-Gul ka Akhari Paygham
Jab ye Socho K Bhar Chuka Hai Dil
Meri Chahat Meri Rafaqat Se
Khud Ko Waqf-e-Azaab mat Krna
Lamba Choora KHITAB mat Krna
Card KA bhi INTAKHAB mat Krna
Aik Sokha Hoa Gulab Ka Phool
Bas LIfafay main bheej daina Tum
Meri Tashna Mohabbton k NAM
Mosam-e-Gul ka Akhari Paygham
·
1 Like ·
Dec 14, 2016 at 14:12
Category: sad
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Hijr K Mosam Main Yeh Barish Ka Barasna Kesa
Hijr k mosam main yeh barish ka barasna kesa,
Aik sehra sey samandar ka guzarna kesa?,
Aey mere dil na pareshan ho, tanha ho kar,
Woh terey sath chala kab tha, bicharna kesa?,
Log kehtey hain gulshan ki tabahi dekho,
Main to veeran sa jangal tha, ujarna kesa?,
Dekhney main to koi dard nahin, dukh bhi nahin,
Phir yeh aankhon main youn ashkon ka ubharna kesa?,
Be-wafa kehney ki jurrat bhi na karna us ko,
Us ney iqrar kiya kab tha, mukarna kesa?....

Aug 28, 2016 at 16:08
Category: occassional-events
Sponored Video