Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Tasawur Mai Jaam Aatay Hain
Jab Tasawwer Main Jam Aatay Hain
Aafatabi Maqaam Aatay Hain
Yoon Chatakhtay Hain Shaakh Pay Gunchay
Jesay Un Kay Salam Aatay Hain
Dil Ki Nadaniyon Pay Ghoor Na Kar
Khotay Sekkay Bhi Kaam Aatay Hain
Chand Lamhaat No Jawani Main
Wajib ul Ahtaraam Aatay Hain
Manzil -e- Ishq Main Khurd Walay
Sirf Do Chaar Gaam Aatay Hain
Dastan -e- Hayaat Main Sagher
Be Wafaon Kay Naam Aatay Hain
Aafatabi Maqaam Aatay Hain
Yoon Chatakhtay Hain Shaakh Pay Gunchay
Jesay Un Kay Salam Aatay Hain
Dil Ki Nadaniyon Pay Ghoor Na Kar
Khotay Sekkay Bhi Kaam Aatay Hain
Chand Lamhaat No Jawani Main
Wajib ul Ahtaraam Aatay Hain
Manzil -e- Ishq Main Khurd Walay
Sirf Do Chaar Gaam Aatay Hain
Dastan -e- Hayaat Main Sagher
Be Wafaon Kay Naam Aatay Hain
·
1 Like ·
Feb 15, 2018 at 13:02
Category: sad
Poetry / General
Fahad Bukhari
Jaam Saqi Ne Diya
jaam saqi ne diya jab k mujhe hosh na tha
aur me hosh me aya tou usay hosh na tha
aur me hosh me aya tou usay hosh na tha
·
2 Like ·
Feb 06, 2018 at 02:02
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne
Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?
Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne
Maikada Band Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakhta Howa Paya Mein Ne
Shair o Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne...!

Oct 25, 2017 at 05:10
Category: sad
Poetry / Sad
Wo Haath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha
Kal shaam teray ghar qayam kis ka tha?
Na tha koi musafir to ehtmam kis ka tha?
Likh likh choomti rahi jis ko raat bhar ankhain tumhari?
Humen bhi batao wo naam kis ka tha?
Jis ko sun k ro parray ehle-e-mehfil?
Itna bheegta hua anjam kis ka tha?
Humen pe k hosh na raha saqi?
Wo haath kis ka tha wo jaam kis ka tha ?

Sep 10, 2017 at 15:09
Category: sad
Poetry / Love
Shaam Ho Jaam Ho Subuu Bhii Ho
shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho
dil se dil ki kahaaniyaaN bhi sune
aaNkhon aaNkhon me guftaguu bhi ho
jheel sii gaharii sabz aaNkhon me
Duub jaane kii aarazuu bhii ho
sirf tere badan ki shamaa jale
or aNdheraa saa chaar soo bhi ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho
dil se dil ki kahaaniyaaN bhi sune
aaNkhon aaNkhon me guftaguu bhi ho
jheel sii gaharii sabz aaNkhon me
Duub jaane kii aarazuu bhii ho
sirf tere badan ki shamaa jale
or aNdheraa saa chaar soo bhi ho
·
1 Like ·
Jun 26, 2017 at 12:06
Category: love
Poetry / Sad
Jamay Gi Kaisay Bisaat E Yaraan Ke Sheesha O Jaam Bujh Gaye Hain
jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha o jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaran ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain
wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh e rukh na shaam e wada
kiran koi arzoo ki laao ke sub dar o baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaey hain
qareeb aa ay mah e shab e gham, nazar pay khulta nahin kuch es dum
ke dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain
bahar ab a kr kaya karay ge ke jin say thi jashn rang o naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

Jun 24, 2017 at 15:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Man Mausam Kaa Kahaa, Chhaai Ghataa, Jaam Uthaa
man mausam kaa kahaa, chhaai ghaTaa, jaam uThaa
aag se aag bujhaa, phuul khilaa, jaam uThaa
pee mere yaar tujhe apanii qasam detaa huuN
bhuul jaa shikwa o gila, haath milaa, jaam uThaa
haath men jaam jahaaN aayaa muqaddar chamka
sab badal jaayegaa qismat kaa likha jaam uThaa
ek pal bhii kabhii ho jaataa hai sadiyon jaisaa
der kyaa karanaa yahaaN, haath baDaa, jaam uThaa
pyaar hii pyaar hai sab log baraabar hain yahaaN
maikade men ko_ii chota na baDaa, jaam uThaa

Nov 13, 2016 at 21:11
Category: sad
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Bebasi Ka Jaam
Na Milay Cheeni Aur Load Shading Ka Saylab Ho
Insan Beybusi Ka Jaam Pi Ker Hi Reh Jai Ga
Kaffan Say Bhi Phir Ho Jai Gi Chuti Uski
Khudkush Bum Dhamaka Hi Bus Kam Ker Jai Ga
Insan Beybusi Ka Jaam Pi Ker Hi Reh Jai Ga
Kaffan Say Bhi Phir Ho Jai Gi Chuti Uski
Khudkush Bum Dhamaka Hi Bus Kam Ker Jai Ga
·
2 Like ·
Feb 07, 2016 at 20:02
Category: political
Sms / Dard
Kashif Yaqoob
Uss Bewafa Ki Yaad Me Mene Jaam Haathon Me Utha Liya
Uss Bewafa Ki Yaad Me Mene Jaam Haathon Me Utha Liya . . Phr Lagya Bread Pe or fataft Kha lia (",)> <)) Dukh apni jaga Bukh apni jaga...
·
2 Like ·
Sep 26, 2013 at 14:09
Category: dard
Tags: Dard Funny Sms
Sponored Video