Search
Poetry / 0
Hafeez Ur Rehman
Dloon Say Nikli Hoi Bud Dua
sabhi say in dinoon rootha howa sa lagtta hoon
mein apnay aap ko aab bay'wafa sa lagta hoon
tamaam raat mein girti hoi havailee mein
diloon say nikli hoi Bud Dua sa lagta hoon
mein woh khazana hoon haqdar jis ki duniya hai
hazar hisoon mein batta howa sa lagta hoon
mairi hansi say udaasi kay phool khiltay hain
mein sab kay sath hoon laikin juda sa lagta hoon
chamak raha tha, chehra kissi ke ankh mein
mein aainay mein kissi dosra sa lagta hoon
tamam raat barasti hai, rait par shabnam
mein apnay chaand say jab bhi khafa sa lagta hoon

·
1 Like ·
May 21, 2021 at 20:05
Category: 0
Poetry / 0
Hafeez Ur Rehman
Muskurati Hoi Dhanak Hai Wohi
Muskurati hoi dhanak hai wohi
uss badan mein chamak damak hai wohi
phool murjhaa gaye ujaloon kay
sanwali shaam mein namak hai wohi
abhi bhi chehra charaagh lagta hai
bujh gaya hai magar chamak hai wohi
woh saraba diyeah ki lo jaisa
mein hawa hoon idhar lapak hai wohi
koi sheesha zaroor toota hai
gungunai hoi khanak hai wohi
payaar kis ka mila hai mitti mein
iss chanbaili tallay mehak hai wohi
uss badan mein chamak damak hai wohi
phool murjhaa gaye ujaloon kay
sanwali shaam mein namak hai wohi
abhi bhi chehra charaagh lagta hai
bujh gaya hai magar chamak hai wohi
woh saraba diyeah ki lo jaisa
mein hawa hoon idhar lapak hai wohi
koi sheesha zaroor toota hai
gungunai hoi khanak hai wohi
payaar kis ka mila hai mitti mein
iss chanbaili tallay mehak hai wohi
·
4 Like ·
May 20, 2021 at 23:05
Category: 0
Advertisement
Poetry / Love
Muhabbat Dhund Main Lipti Hoi Wadi Ka Mausam Hai
Muhabbat Dhund Main Lipti Hoi Wadi Ka Mausam Hai
Chamakti Hai To Suraj Hai Barasti Hai To Rimjhim Hai
Muhabbat Naam Hai Kitne Musalsal Imtehanoo Ka
Muhabbat Kar NahiN sakta Ke Jis Main Hosla Kam Hai
Muhabbat Karne WaloN Ko Sada Muskaan Milti Hai
Muhabbat Karne WaloN ki Zara Si Aankh Bhi Num Hai
Muhabbat Zindagi Main Zindagi Ka Eik Nagmah Hai
Magar Yeh Maut Ki Dehleez Par SadiyoN ka Matam Hai...!

2 Like ·
Dec 18, 2017 at 09:12
Category: love
Poetry / Love
Mile Kisii Se Nazar To Samajho Gazal Hoi
mile kisii se nazar to samajho Gazal hoi
rahe apanii Khabar to samajho Gazal hoi
milaa ke nazaron ko vo hayaa se phir
jhukaa le ko_ii nazar to samajho Gazal hoi
idhar machal kar unhen pukaare junuuN meraa
bhaDak uThe dil udhar to samajho Gazal hoi
udaas bistar kii silavaTain jab tumhen chubhen
na so sako raat bhar to samajho Gazal hoi
vo badgumaN ho to sher sughay na shayari
vo maherban ho Zafar to samajho Gazal hoi...!

Nov 07, 2017 at 11:11
Category: love
Poetry / Sad
Kise Ghareeb Ki Jori Hoi Raqam
ye taire Khaat tere khushboo ye taire khowab o khayal
Matay-e-jaan hain taire qool o qasam ki trha
guzishta saal in ko maine gin kr rakha tha
kise ghareeb ki jori hoi raqam ki tarhan....!
Matay-e-jaan hain taire qool o qasam ki trha
guzishta saal in ko maine gin kr rakha tha
kise ghareeb ki jori hoi raqam ki tarhan....!
·
1 Like ·
Aug 22, 2017 at 14:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Muddat Hoi Ek Zamana Hua
ek muddat hoi ek zamana hua
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hoi
zindagii kaa chalan mujremana hoa
phuul jalate rahe chand hansta raha
aarazuu ka muqamal fasana hoa
daaG dil ke shehanshah ke sikke bane
dil kaa muflis kada jab Khazana hoa
rahbar ne palaT kar na dekha kabhi
rah o raaste ka nishana hoa
ham jaha bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aastana hoa
pahale hoti thi koi vafaa par vari
ab to "SaaGar" ye qisa purana hoa
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hoi
zindagii kaa chalan mujremana hoa
phuul jalate rahe chand hansta raha
aarazuu ka muqamal fasana hoa
daaG dil ke shehanshah ke sikke bane
dil kaa muflis kada jab Khazana hoa
rahbar ne palaT kar na dekha kabhi
rah o raaste ka nishana hoa
ham jaha bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aastana hoa
pahale hoti thi koi vafaa par vari
ab to "SaaGar" ye qisa purana hoa
·
1 Like ·
May 25, 2017 at 20:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bholi Hoi Sada Hun Mujhe Yaad Kijiye
bholi hoi sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kahi mila hum mujhe yaad kijiye
merii nigaah-e-shauq se har gul hai taza
main ishq ka Khuda hun mujhe yaad kijiye
naGmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ki intaha hun mujhe yaad kijiye
"Sagar" kise ke husn-e-taGaaful shaar ki
bahki hui adaa hun mujhe yaad kijiye

May 25, 2017 at 08:05
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Talli Hoi Ashiya Hamesha Buri Nahi Hoti
تلی اشیا سے دور رہیں، یہ وہ مشورہ ہے جو ڈاکٹر کبھی کبھار مفت بھی دے دیتا ہے لیکن تازہ ترین تحقیق میں یہ ثابت ہوا ہے کہ تلی اشیا ہمیشہ بری نہیں ہوتیں۔ اسپین میں ہونے والی تحقیق کے مطابق آلو اور دیگر اش...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Apr 22, 2017 at 11:04
Category: featured
Poetry / Sad
Ujri Hoi Bastiyun Ka Ghum Kia Karna
ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna
khoon hoti dastanoon ka ghum kia karna
kabhi khilte thay gulistaan may laal o gul
ab khaak urti hawaon ka ghum kia karna
tum tu khafa ho gaye anjaani si khatta pe
ab guzray hoe lamhon ka ghum kia karna
tumhari muskarahat ka talism aaj bhi hai qaim
apni pur num palkoon ka ghum kia karna
tofaan may ghir kar door se pukara unko
nameharbaan thi hawa ansuni sadaoon ka ghum kia karna
tum thay chahaon ki manind kadi dhoop may
baad firaq ab jaltay paoon ka ghum kia karna
dartay thay kahan jayen ge us ke qadmon se uth kar Qais
ab shikayat kaisi ab sehraon ka ghum kia karna

Dec 18, 2016 at 00:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Soyi Hoi Duniya Ko Jaga Lon
Apni soyi hoi Duniya ko Jaga lon to Chaloon
Apney Gham-Khane me Ek Dhoom macha lon to Chaloon
Aur Ek Jaam-e-May-Talkh Chara lon to Chaloon
Abi Chalta hon Zara Khud ko Sambhaal lon to Chaloon
Jane Kab Pee thi Abi tak hai May-e-Gham ka Khumaar
Dhundla Dhundla sa Nazar ata hai Jahan-e-Bedaar
Aandhiyan Chalti hen Duniya hoi jati hai Ghubaar
Aankh to mal lon Zara, Hosh me aa loon to Chaloon
Wo mera Saahir, Wo Ejaaz kahan hai laana
Meri Khoi hoi Awaz kahan hai laana
Mera Toota hoa Wo saz kahan hai laana
Ek Zara Geet bhe es Saaz pe Gaa lon to Chaloon
Main Thaka-Haara tha itne me jo Aaye Badel
Kisi Matvaley ne Chupkey se Barhaa dee Botel
Uff Wo Rangeen Pur-Asaraar Khayalon ke Mahel
Aise Do Chaar Mahel aur Bana lon to Chaloon
Meri Aankhon me Abi tak hai Mohabat ka Gharoor
Mere Honto'n ko Abi tak hai Sadaaqat ka Gharoor
Mere maathey pe abi tak hai Sharafat ka Gharoor
Aise Vehmon se bhe ab khud ko Nikaalon to Chaloon,

Mar 30, 2016 at 07:03
Category: sad
Sponored Video