Please Login to Send Message.
Sms / Shairi
Tahir Khan
Dushmann Hai Aur Apna Bana Kar Milta Hai
Dushmann hai aur apna bana kar milta hai
daldal hain aur raastha ban kar milta hai
roop badalte rahna uski fitrat hai
peetal hai aur sona ban kar milta hai
kaise pyaas bujhayega vo auron ki
dariya hai aur pyaasa ban kar milta hai
jo bhi uski jadh mein aaya jhulas gaya
dhoop hai aur saaya ban kar milta hai
dil mein nafrat aur zabaan par meethe bol
kaisa hai aur kaisa ban kar milta hai
daldal hain aur raastha ban kar milta hai
roop badalte rahna uski fitrat hai
peetal hai aur sona ban kar milta hai
kaise pyaas bujhayega vo auron ki
dariya hai aur pyaasa ban kar milta hai
jo bhi uski jadh mein aaya jhulas gaya
dhoop hai aur saaya ban kar milta hai
dil mein nafrat aur zabaan par meethe bol
kaisa hai aur kaisa ban kar milta hai
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: shairi
Sms / Shairi
Tahir Khan
Humne Jab Muhabbat Ka Paigaam Diya
humne jab muhabbat ka paigaam diya
muskurakar unhone apna dil thaam liya
jhuk gayi nazrein meri unki iss ada par
kehne lage ab humne dil ka raaz jaan liya
muskurakar unhone apna dil thaam liya
jhuk gayi nazrein meri unki iss ada par
kehne lage ab humne dil ka raaz jaan liya
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: shairi
Tags: Muhabbat
Advertisement
Sms / Ghazal
Tahir Khan
Zindagi Yu Hi Guzarne Lagi
Zindagi yu hi guzarne lagi
khwaabon ki duniya mein palne lagi
patthar yahan khanjar yahan par
khaaron ke raaston pe chalne lagi
samjhota bahut humne kiya
aankh fir bhi ye tapakne lagi
dard-e-safar koi milta nahi
tanha umr saari ye dhalne lagi
kaale badal haarke chillane lage
khouf ki bijli chamakne lagi
shishe ke ghar rahe kab tak salamat
ab to pattharon ki baarish hone lagi
sab ujda-ujda kuchh sudharta nahi
fir bhi ummeed ki baatein kyu
khwaabon ki duniya mein palne lagi
patthar yahan khanjar yahan par
khaaron ke raaston pe chalne lagi
samjhota bahut humne kiya
aankh fir bhi ye tapakne lagi
dard-e-safar koi milta nahi
tanha umr saari ye dhalne lagi
kaale badal haarke chillane lage
khouf ki bijli chamakne lagi
shishe ke ghar rahe kab tak salamat
ab to pattharon ki baarish hone lagi
sab ujda-ujda kuchh sudharta nahi
fir bhi ummeed ki baatein kyu
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Tahir Khan
Jidhar Dekho Udhar Badrang Se Chehre Milenge
jidhar dekho udhar badrang se chehre milenge
bisaaton par wahi haare hue mohre milenge
mod aayega dikhegi paas hi manzil magar
paaon kaampenge tumhare raaste thehre milenge
gufaon mein kaid hain aazaad hona chahti hain
roshni ke gird lekin har taraf pehre milenge
reth ke teele miley pyaase ko hardum raah mein
chala tha ye sochkar kuye wahan gehre milenge
munaadi karte hain vo khushaaliyon ki us shehar mein
jahan sab goonge hi goonge ya ki sab behre milenge
bisaaton par wahi haare hue mohre milenge
mod aayega dikhegi paas hi manzil magar
paaon kaampenge tumhare raaste thehre milenge
gufaon mein kaid hain aazaad hona chahti hain
roshni ke gird lekin har taraf pehre milenge
reth ke teele miley pyaase ko hardum raah mein
chala tha ye sochkar kuye wahan gehre milenge
munaadi karte hain vo khushaaliyon ki us shehar mein
jahan sab goonge hi goonge ya ki sab behre milenge
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Islamic
Tahir Khan
The Beautiful Word Is Allah
The beautiful word is Allah.
most beautiful poem is Azan.
best exercise is Namaz.
world perfect book is Quran.
&
u r so lucky
u r Musalman.
most beautiful poem is Azan.
best exercise is Namaz.
world perfect book is Quran.
&
u r so lucky
u r Musalman.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: islamic
Tahir Khan
Gender :Country : Pakistan
Followers : 0
Total Updates : 5
Member Since : Mar 04, 2004
More Details
Educaiton : PostgraduateReligion : Islam
Caste :
Language : Urdu
This user has no friend
Coming Soon!
This user has not uploaded any photo.
Coming Soon!
Sponored Video