Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

zard si rangat wali larki
mout ki chader paair pe dale
kiska rasta dekh rahi hai?

hichki hichki,sansoon sansoon
us wade ka soch rahi hai
zard si rangat wali larki
mout ki chader tan pe dale
ab bhi apni chahat ko kion
un rahoun main tol rahi hai?

zard si rangat wali larki
mout ki chader sar pe dale
ankhein apni mond chuki hai
ane wale ko batlado
ab wo lout k ayega tu
un wadoun ko takne wali

zard si rangat wali larki
khud wada banjaygi
ane wale ko samjha do
ab wo milne ayega tu
us ki yad main rone wali

zard si rangat wali larki
khud ansu ban jaygi
ane wale ko kehlado
usko itna chahne wali
zard si rangat wali larki

mout ki chader sar pe dale
apna pyar wo kho bethi hai
khak se raakh wo hu bethi hai
zard si rangat wali larki!!

Advertisement
· 1 Like · Jan 31, 2017 at 17:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

3cheezain khatam
Posted by kashif mali
Posted on : Aug 16, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS