Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

yeh kaisa khauf tha keh rakht-e-safar bhi bhool gaye

woh kaun log thay keh apnay ghar bhi bhool gaye

yeh kaisi qouvat-e-parvaaz dar ne paida ki

parinday urtay huay apnay par bhi bhool gaye

dukhon nay chheen li aankhon ki saari benaye

hum uska sheher tu kya reh guzar bhi bhool gaye

khayal tha keh sunayein ge haal-e-dil laiken

hum uskay saamnay arz-e-hunar bhi bhool gaye

juda huye tu khula hai tumhari basti main

hum ik dil hi nahiin chashm-e-tar bhi bhool gaye

Advertisement
· 1 Like · May 28, 2017 at 04:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Looks great.
Posted by Amin Lakhan
Posted on : Nov 28, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS