Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Shabnam K Aansoo Phool,Per Ye To Wohi Qissa Hoa
Aankhain Meri Bheegi hoi,Chehra Tera Utra Hoa

Ab In Dino Meri Ghazal Khushbu ki ik Tasveer Hai
Her Lafz Gunche Ki Tarah Khil Ker Tera Chehra Hoa

Shayad Use Bhi Le Gaye,Ache Dino k Qaafle
Is Baagh Me Ik Phool Tha,Teri Tarah Hansta Hoa

Her Cheez Hai Bazaar me,is Hath De Us Hath le
Izzat gai,Shohrat Mili,Ruswa Howe,Charcha Hoa

Mandir Gaye,Masjid Gaye,Peeroon Faqeeroon se Mile
Ik Usko Paane K Liye,Kya Kya kiya,Kya kya hoa.......!

Anmol Moti Pyaar k Dunya Churaa k Le Gai
Dil Ki Haveli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hoa

Barsaat me Deewar-o-Der ki Saari Tehreerain Miti'in
Dhoya Buhat Mit'ta Nahi Taqdeer ka Likha Hoa.........

Advertisement
· 1 Like · Aug 28, 2016 at 04:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Hijab mera muhafiz.
Posted by minu malik
Posted on : Aug 09, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS