Poetry / Sad

ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh-e-hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
rug o jan main utarti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi dikhao
bhala wo koun hai humdam...?
bhala wo koun hai humdam...?


MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai


WO KEHTI THI
mujhe ye khauf hai janaa...
kahin tum dair na kardo!

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqt ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga

MAGAR SHAYAD!
ussay janay ki jaldi thi
k iqrar-e-wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......


MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB
main khud ko rulata hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa..!
tumhain jo khauf lahaq tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai
bohat he dair kar di hai...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 07, 2017 at 04:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Zeba Bakhtiar
Posted by asiah rahi
Posted on : Jul 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS