Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Main Dil Par Jabr Karunga, Tujhe Bhula Dunga
Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Saza Dunga
Ye Teergi Mere Gahr Ka Hi Kyon Muqaddar Ho
Main Tere Sheher Ke Saare Diye Bujha Dunga
Hawa Ka Haath Battaon ga Har Tabaahi Mein
Haray Shajar Se Parinday Main Khud Uda Dunga
Wafa Karunga Kisi Sogwaar Chehre Se
Purani Qabr Par Qutba Naya Saja Dunga
Isi Khayal Mein Guzri Hai ShaaM-E-Dard Aksar
Ke Dard Had se Barhay ga To Muskura Dunga
Tu AasMan Ki Surat Hai, Gir Padega Kabhi
ZaMeen Hoon Main Bhi Magar Tujhko Aasra Dunga
Badha Rahi Hai Mere Dukh Nishaniyan Teri
Main Tere Khat Teri Tasveer Tak Jala Dunga

Advertisement
·
1 Like ·
May 08, 2017 at 20:05
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video