Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sitaron Say Bharey Is Asmaan Ki Wusaaton Mai
Mujhey Apna Sitaara Dhoondhna Hai
Falak Par KehKashan Dar KehKashan Ek Bekaraani Hai
Na Uska Naam Hai Maloom
Na Koi Nishaani Hai
Bass Itna Yaad Hai Mujh Ko
Azal Ki Subah Jab Saarey Sitaarey
Alwidaai Guftago Kartey Huay Raston Pay Chal Niklay Thay
Toh Uski Aankh Mai Ek Aur Taara Jhilmilaaya Tha
Usi Taarey Ki Soorat Ka
Meri Bheegi Hui Aankhon Mai Bhi Ek Khuwab Rehta Hai
Mai Apnay Ansoon Mai Apnay Khuwabon Ko Sajaata Hun
Aur Uski Raah Takta Hun
Suna Hai Gumshuda Cheezain Jahan Par Khoyee Jaati Hain!!
Wahin Pay Mil Bhi Jaati Hain!!!

Advertisement
·
1 Like ·
Jan 31, 2016 at 22:01
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video