Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakon ,
Dhoondhne Usko Challa Hoon Jise Paa Bhi Na Sakon

Daal Kar Khaak Mere Khoon Peh Qaatil Ne Kaha,
Kuch Yeh Yaad Nahi Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakon

Zabt Kambakht Ne Aur Aa Ke Galaa Ghontaa Hai,
Ke Use Haal Sunaaoo To Sunaa Bhi Na Sakon

Uske Pahloo Mein Jo Lejaa Ke Sulaa Doon Dil Ko,
Neend Aisee Use Aaye Ke Jagaa Bhi Na Sakon

Meharbaan Ho Ke Bulaa Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt,
Mai Gayaa Waqt Nahi Hoo Ke Phir Aa Bhi Na Sakon

Zauf Mei Taanaa-E-Aghyaar Ka Shikwaa Kyaa Hai?
Baat Kuchh Sar To Nahi Hai Ke Uthaa Bhi Na Sakon

Zahar Miltaa Hi Nahi Mujhko Sitam_Gar Warnaa,
Kyaa Kasam Hai Tere Milne Ki Ke Khaa Bhi Na Sakon"

Naqsh-E-Paa Dekh Lun Laakh Karon Ga Sajde
Sar Mera Arsh Nahi Hai K Jhuka Bhi Na Sakon

Bey-Wafa Likhte Hain Wo Apni Qalam Se Mujh Ko
Yeh Wo Qismat Ka Likha Hai Jo Mita Bhi Na Sakon

Iss Tarah Soye Hain Sar Rakh K Mere Zaanon Per
Apni Soyi Hui Qismat Ko Jaga Bhi Na Sakon

Advertisement
· 1 Like · Feb 09, 2015 at 12:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS