Poetry / Sad

ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna
khoon hoti dastanoon ka ghum kia karna

kabhi khilte thay gulistaan may laal o gul
ab khaak urti hawaon ka ghum kia karna

tum tu khafa ho gaye anjaani si khatta pe
ab guzray hoe lamhon ka ghum kia karna

tumhari muskarahat ka talism aaj bhi hai qaim
apni pur num palkoon ka ghum kia karna

tofaan may ghir kar door se pukara unko
nameharbaan thi hawa ansuni sadaoon ka ghum kia karna

tum thay chahaon ki manind kadi dhoop may
baad firaq ab jaltay paoon ka ghum kia karna

dartay thay kahan jayen ge us ke qadmon se uth kar Qais
ab shikayat kaisi ab sehraon ka ghum kia karna

Advertisement
· 1 Like · Dec 18, 2016 at 00:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Menu Popcorn Fish
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 21, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS