Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Udaas Logo Ki Bustiyon Mai
Wo Titliyon Ko Talash Karti
Wo Aik Larki . . .

Wo Gol Chehra, Wo Kaali Aankhain
Jo Karti Rehti Hazaar Baatain
Mizaaj Saada,,, Wo Dil Ki Achi
Wo Aik Larki . . .

Saari Batain Wo Dil Ki Maanay
Wohi Karay Wo, Jo Dil Mai Taanay
Koyi Na Janay,, Kya Os Ki Marzi
Wo Aik Larki . . .

Wo Chahato K Saraab Dekhay
Mohabatoon K Wo Khwab Dekhay
Wo Khud Samandar Magar Hai Pyasi
Wo Aik Larki . . .

Wo Dosti K Nisaab Janay
Wo Janti Hai Ehd Nibhanay
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi
Wo Aik Larki . . .

Wo Jaam Chahat Ka Peena Chahay
Wo Apne Marzi Se Jeena Chahay
Magar Hai Darti,,, Magar Hai Darti
Wo Aik Larki . . .

Mohabbato Ka Jo Falsafa Hai
Wo Janti Hai,,, Osay Pata Hai
Wo Phir Bi Rehti Dari Dari Si
Wo Aik Larki . . .

Wo Jootay Logo Ko Sacha Samjay
Wo Sari Dunya Ko Acha Samjay
Woh Kitni Saadi,,, Wo Kitni Pagli
Wo Aik Larki

Advertisement
· 1 Like · Aug 31, 2016 at 06:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

junglaat ke farogh ka aalmi din
Posted by Aleezay Abbasi
Posted on : Aug 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS