Poetry / Sad

chhod ke jana hi tha to
daaman thama hi kyun tha
hath chhudana hi tha to phir
hath thama hi kyun tha
hum to kehte rahe na uthao
kadam in pagdandiyon pe
bich safar me sath chhodna tha
to kadam badhaya hi kyun tha...

khabar thi tumhe k ye raahein
kitni kathin hain
inme sirf kaantein hi hain
na kahin koi phul hai
par chalna chaha tha tumne
mere sath sanam
ab jab saamne manzil hai
piche mudke dekha hi kyun tha

piche to rotey bilaktey log hi milenge
har tarf sirf dard bhare chehre dikhenge
jaante the tum ye sab
o mere humsafar ye hoga
ab unki iss haalat pe tum
dil me pachhtatey kyun ho

jaan ab mere sath se ab
tum ghabrate kyun ho.....????

Advertisement
· 1 Like · Jun 08, 2015 at 04:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS