Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Na Chairho Khilti Kalyon, Hanste Phoolon Ko
In Urti Titliyon, Aawara Bhawron Ko,
Tassalsul Toot Jaay Ga!

Fiza Mehw e Samaat Hai,
Haseen Honton Ko Naghma Rez Rehne Do,
Nigahaen Neechi Rakho
Aur
Mujassam Gosh Ban Jaao
Agar Junbish Labon Ko Di,
Tassalsul Toot Jaay Ga!

Ufuq Mein Doobte Sooraj Ka Manzar
Iss Bulandi Se Zara Dekho
Issi Rangeen Kinaare Par,
Shafaq Sona Lutaye Gi
Yoonhi Tum Be- Hiss-O-Saakit Raho
Aise Mein Palkain Bhi Zara Jhapkain
Tassalsul Toot Jaay Ga!

Wo Khwabeeda Hai, Khwabeeda Hi Rehne Do
Na Jaane Khwaab Mein Kin Waaadiyon Ki Sair Karti Ho
Bulandi Se Phisalte Aabsharon Mein Kahin Gum Ho
Falak- Asaar Choti Par Kahin Mehw e Tarranum Ho
Agar Awaz Di Tum Ne
Tassalsul Toot Jaay Ga!

Main Shayar Hoon,
Meri Fikr-E- Rassa, Ehssass Ki Uss Satah Par Hai
Jiss Mein Khushboo Rang Banti Hai
Sada Ko Shakl Milti Hay
Tassavvur Bol Uthta Hai
Khamoshi Gungunaati Hai
Yeh Wo Waqfa Hai _ _ _ _ _ _ Aise Mein,
Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di
Tassalsul Toot Jaay Ga!

Advertisement
· 1 Like · Feb 22, 2016 at 04:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Khoobsurat Jawab
Posted by Abdulla Bhatti
Posted on : Oct 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS