Poetry / Sad

Samreen Qaisar

Tarash kar mere bazu uraan chhor gaya,

hawa ke paas wo barhana makan chhor gaya,

rifaqaton ka meri usko dhayan kitna tha,

zameen le li magar asman chhor gaya,

ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh ke bhi,

khulay dareechay pe ik phool daan chhor gaya,

jo badalon se bhi mujhko chupa ke rakhta tha,

barhi hai dhoop to be saaibaan chhor gaya,

uqab ko thi gharaz fakhta pakarne se,

jo gir gai to yunhi neem jaan chhor gaya,

na jaane kon sa asaib dil main basta hai,

k jo bhi thehra wo akhir makaan chhor gaya,

Advertisement
· 1 Like · Sep 09, 2015 at 12:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Reality :P
Posted by mooria ul ain
Posted on : Jul 30, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS