Poetry / Sad
Suraag de ga kaheen ja k maah o saal mein tu
Kahan rahe ga mere koza-e-khayal mein tu
Parayi dhoop se aangan ki teergi achi
Ulajh raha hai yeh kis roshni k jaal mein tu
Tujhe khaber nahin urti hai khaak-e-jaan kaise
Ghira nahin kisi andisha-e-zawal mein tu
Main dekhta hon lakeeron ki sarhadon mein tujhe
Likha hua hai mere dast-e-kamal mein tu
Tujhe main mang raha hon yeh kis bahane se
Chupa hua hai meri khwahish-e-sawal mein tu
Kisi ki ankh se khwabon ki kirchian chun ker
Ab aik umer se baitha hai kis malaal mein tu
Kahan gaya tere andar ka khud parast Zafer
Bikher gaya hai kisi k jamal mein tu...!

Advertisement
·
1 Like ·
Aug 11, 2017 at 04:08
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video