Poetry / Sad

sochta huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine men lafz or bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaqat bahut mukhtasar hai miri hamsafar laa maire haath meiN haath de
tuu hava-e-sar-e-rahguzar ki tarah, main kisi nakhat e raygan ki tarah

haal zaalim shikari ki suurat mujhe, waqt ki zin se baandh kar le chala
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maa kii tarah

sang-e-azar kii barishen tez thin, aur bachne ka koi tariqa na tha
raftaa raftaa sabhii ne saron par koi be hisi taan li sayban ki tarah

Khowiashon ke samandar se ek mauj uthi aur sail e bala Khez banti gay
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

Advertisement
· 1 Like · Nov 28, 2016 at 13:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

6 September Pakistan Defence Day
Posted by Uzma Shaheen
Posted on : Sep 19, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS