Poetry / Sad
Rehna tha mujh ko teri nazer k kamal mein
Lekin main din guzaar rahi hon zawaal mein
Ghaera hay es tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye es malaal mein
Mujh se nazer chura k guzarne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein
Hon saat e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein
Bechaniyan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahatain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein
Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein

Advertisement
·
1 Like ·
May 14, 2017 at 01:05
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video