Poetry / Sad

raastay, manzilaiN, justaju aur maiN
ham nafas, ik teri aarzu aur maiN

koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru, aur maiN

jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su, aur maiN

khwaab ki titliyaN jab urain aankh se
reh gai khwahish-e-rang-o-bu, aur maiN

raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja, teri guftagu, aur maiN

aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath meiN qismatoN ka lahu, aur maiN

sochti hooN kahaN jaooN, kis se kahooN
shehr dushman, Faza bhi raqeeb, aur maiN

daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN, teri aarzu, aur maiN

raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere ehsas ki aabru, aur maiN

mere saahir, bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su, aur maiN

kaash aisa ho, saahil kinaray kabhi
aur koi na ho, sirf tu, aur maiN...!

Advertisement
· 1 Like · Aug 20, 2017 at 10:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Beautiful Bed
Posted by Usaman Khan
Posted on : Aug 05, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS