Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Raat Ki Kokh Se
Subha Ki Aik Nanhi Kiran Nay yun Janam Liya
Shab Nay Nanhi Shafaq Ki Ghulabi
Haseen Muthiyan Khol Kar
Kuch Lakeerein Parhein
Aur Saba Se Na'Maloom Chupke Se Kia Keh Diya
Yun Kay Shabnam Ki Ankh Se Ansoo Behay
Ek Sitara Hansa
Chandni Muskarati Hoi Chal Pari
Aur Nafasat Se Pehlu Badalte Howay
Chonk Kar Meri MAA Nay Shoq Se
Kuch Ishara Kiya
Aahton Aur Sargoshiyon Main Kisi Nay kaha
Ah Larki Hai Yeh
Itni Afsurda Awaz Mere Khuda
Meri Pehli Samat Paey Likhi gayi
Meri Pehli hi Sanson Main Ghola Gaya
In Shakista Lamhon Ka Zehreela PaN
Ah Larki hai , Larki Hai , Larki Hai
Is Ki Qismat Ki Mango Dua
Ab Bhi Meri Samat Paey Likhi hai
Mere Purkhon Ki Pehli Dua

Advertisement
· 1 Like · Nov 16, 2015 at 18:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS