Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

mery humsafar teri berukhi dil-e-mubtala ki shikast hay,
isy kis terha main kahoon fatah, ye meri ana ki shikast hay,

tu chal gaya mujhy chor ker, main ney phir bhi tujh ko sadaein dein
mery humsafar tu ruka nahi ye meri sada ki shikast hay,

tujhy la k dil mein bitha dia, tujy raaz her ik bata dia,
tuney phir bhi koi wafa na ki, ye meri wafa ki shikast hay,

mein chiragh-e-shab-e-umeed tha, tujy bijlion ki talab rahi,
mujy aandhio nay bujha dia, ye meri zia ki shikast hai,

mujy koi tujh sey gila nahi, tu mila tha kab? k bhichar gaya,
mery jurm ki hay ye saza, ye meri saza ki shikast hay,

gham-e-dastaan-e-hayat k, sabhi tazkare huy raaygan,
mery chara gar, tera ye hnar, meri her dua kia shikast hai..,

Advertisement
· 1 Like · Apr 24, 2016 at 23:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Opera - ''47 to 84''
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : May 01, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS