Poetry / Sad

jawaan ghunchoon ko batlao muhabbat maar deti hai
payaam-e-zeest phailao, muHabbat maar deti hai

sabaq tasleem karte ho to mat bhulo, paRhna hai
muHabbat tark farmao, muHabbat maar deti hai

bohat laila, bohat majnooN hue nazr-e-wafa aaKHir
nah yeh sartaan phailao, muHabbat maar deti hai

bohat dekhe mareez-e-ishq ham ne, ab taqaaza hai
tabeeb-e-ishq ban jaao, muHabbat maar deti hai

kisi ko ishq ki raahoN peh dekho gar to keh dena
sitam KHud par nah tum Dhaao, muHabbat maar deti hai

mujhe yaaraan-e-meHfil se payaam aata bhi hai to kya
yeh kehte haiN, palaT aao, muHabbat maar deti hai

musaafat se, rafaaqat se, yeh seekha wasl o furqat se
agar tum is se bach paao, muHabbat maar deti hai

woh kehte haiN keh Monis ishq par kehte hi rehte ho
radeef ab es ko Thehrao, muHabbat maar deti hai...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 16, 2017 at 08:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jumma Mubarak
Posted by Ali Awan Malik
Posted on : Dec 01, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS