Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbaten jab shumaar kerna to saazishain bhi shumaar kerna
Jo merey hissey me aayi hain woh aaziyaten bhi shumaar kerna
Jalaye rakhongi subah tak main Tumhare raston me apni ankhen
Magar kahin jo zabt toot jaaye to baarishen bhi shumaar kerna
Jo harf loh-e-wafaa pey likhey hoye hain un ko bhi daikh lena
Aur jo raaegaan ho gayin woh saari ibaaraten bhi shumaar kerna
Yeh sardiyon ka udaas mausam k dharkanen burf ho gayi hain
Jab inn ki yakhtagi parakhna to tamazaten bhi shumaar kerna
Tum apni majboriyon ke Qissey zaroor likhna wazahaton se
Jo meri ankhon me jal bujhi hen wo khwahishen bhi shumaar kerna !

Advertisement
·
1 Like ·
Aug 04, 2016 at 17:08
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video