Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mere dushmano se kaho koi....!!
Kisi gehri chaal ke ehtemaam ka silsila hi fuzool hey
Ke shikast yun bhi qubool hey
Kabhi hosley jo misaal thay
Woh nahi rahey
Mere hurf hurf ke jism par
Jo maani ke par-o-baal thay
Woh nahi rahey
Meri shairi ke jahan ko
Kabhi titliyun, kabhi jugnuon se sajaye phirtey khayal thay
Woh nahi rahey
Mere dushmano se kaho koi
Woh jo sham-e-shehr-e-wisaal mein
Koi roshni si liye hoye kisi lab pe jitney sawal thay
Woh nahi rahey
Jo wafa ke baab mein wehshaton ke kamaal thay
Woh nahi rahey
Mere dushmano se kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishaat mein
Mujhey khud pe itna ghuroor tha
Kahin kho gaya
Woh jo fatehana khumaar mein mere sarey khwab nihaal thay
Woh nahi rahey
Kabhi dasht-e-lashkar-e-shaam mein
Mere surkhru maah-o-saal thay
Woh nahi rahey
Ke bas ab tou dil ki zubaan par
Faqat ek qissa-e-haal hey
Jo nidhaal hey
Jo gaye dinon ka malaal hey
Mere dushmano se kaho koi..!!!!!!!

Advertisement
· 1 Like · Nov 28, 2015 at 06:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS