Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Terey baghair Sard mosmon ke khushgawar Din Udaas hen,
Fiza me Dukh Racha hoa hai,
Hawa koi udaas geet gunguna rahi hai,
Phool ke Labon pe Peyas hai,
Aisa Lagta hai,
Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon,
Saba ke dono hath khali hon
kh... shehr mein Tera koi pata nahen,
saans lena kitna mahaal hai
udasiyan udasiyan Ajab haal hai
Tamam sabz saaya-dar pairron ney,
Tery baghair wehshaton me apney perhan ko taar taar kar dia
Ab kisi shajr key Jism per Quba nahen
Sookhey Zard pattey
Koo ba Koo teri talaash me Bhatak rahey hen
Meray Darichon me Gulabi dhoop roz jhaankti hai
Mgr uss ki Aankhon me
Wo Jag-magahaten nahen
Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per
Soorajon ki kehkashaan sajaaney aati thin
Zameen bhe meri Trah hi
Teray baghair es ki Kokh se bhe ab
Koi Gulaab ugg na paye ga
Zameen Banjer ho gai hai
Aur
Meri Rooh ki Bahaar Aafreen kokh bhi
Meri soch key sadaf mein
Fun key sachey moti kis trah Janam lia kren
kh main sarapa-e-tashnagi hon
Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen
Meray aur Teray darmian
Paanch Paanion key Des mein
Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen
Mai kis trah SHER kahoon
Meri Soch key Badan ko, to Namoo to dey
kh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon!!

Advertisement
· 1 Like · Oct 31, 2016 at 00:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS