Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gul-E-Umeed Ki Tehni Ki Paishaani Sey
Qismat Ke Sitaarey Ki Tarah Toottey
Aey Aakhri Patey….
Mujhey Tum Ko Tumhaari Mout Ka Parsa
Bhari Aankhon Sey Dena Hey
Magar, Ik Dard Mera Bhi….
Agar Tum Sun Sako Tou….?
Aik Lamhay Ko Suno…
Tumhaara Bhi Safar Uss Simt Hey Ab Sey
Jahaan Sey Waapsi Mumkin Nahi Hoti
Jahaan Jashn-E-Chiraaghaan
Jashn-E-Khushboo Ho…
Khizaan Mosam Ke Nohey Hon
Ya Maatam Ho
Sakoon Mein Farq Bilkul Bhi Nahi Aata…
Suno………..?
Iss Neend Nagri Mein
Merey Pyarey Bhi Sotey Hein
Unhein Kehna…
Mein Thakan Sey Choor Hoon Bilkul
Mujhey Khamoshiyaan Ab Raas Aati Hein
Meri Aankhon Ki Jheelein Khushk Hein Kab Sey
Faqat Ab Hasraton Ki Kankarein……….
Palkon Mein Chubhati Hein…….
Meri Saansein ,Merey Dil Sey Ulajhti Hein
Mujhey Ab Jaagna ,Be-Khawab Rehna
Dard Deta Hey……
Merey Har Chehrey Ko Takti Hoon
Kisi Ki Aankh Mein
Ab Aks …..Mera Ruk Nahi Paata
Bharey Aakaash Par Merey Liye
Koi Sitaara Ab Nahi Roshan
Nazar Thak Kar Zameen Ki Or Takti Hey
Unhein Kehna Ke…
Mein Un Ke Bina Ab Buhat Tanha Hoon
Agar Jo Ho Sakey Tou
Iss Shahr-E-Panaah Ki Sar-Zameen, Ki Mehrbaan
Baahon Mein Thori Si Panaah Merey Liye
Un Sey Jo Ban Paaey….
Tou Mein Bhi Neend Nagri Mein Chali Aaoun
Meri Dukhti Huwi Aankhon Ko
Be-Khawaabi Ke Zindaan Sey Rihaai Ho
Mein Gehri Neend So Jaaon

Advertisement
· 1 Like · Feb 02, 2016 at 23:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Baalon ki Hifazat
Posted by amna omar
Posted on : Jun 03, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS