Poetry / Sad

Ahsan Imran

wah haath jo ponchhte thay aansun mere
mit jaate thay gham,jinki duwaon ke asar se
Dhudhte hain wo kaandhe,roti thi aankh jin par
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se


Ungli pakad kar chalna,hazaar khwahisen karna
Gujarti thi unki zindagi , humare hi dagar se
Yaad aati hain wo baaten Dil rota hai AAH aksar
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se


wO ruthna humara , wO aanso bahanaa
puri hoti thin khwahishe,humare is asar se
Baagh aate hain yaad ,chubhtay hain kaante aksar
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se


Dil todna na unka ,na taklif kabhi dena
Nikaalna hai tumhen hi unhen Ashkon ke shahar se
Yatimon ko dekho unhen ja kar samjho,kya hota hai tab
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se


Wo dhundhli si aankhen,Wo maasum sa chehra
Yatimon ko dekhoge , jab unke hi nazar se
Samajh jaaoge AAAH tum bhi ,kya hota hai tab
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se


EHSAAS ki ek ilteza hai , ek baat meri maano
Apna aashiyana banana,Unke muhabbaton ke asar se
Bahut taklif hoti hai,,hota hai KAASh honoto per aksar
Maa Baap ka saaya jab uth jaata hai sar se

Advertisement
· 1 Like · Oct 10, 2014 at 22:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Todays Joke!
Posted by haya jalal
Posted on : Oct 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS