Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil main bhi zara gehri
Aur arsh se kuch oonchi

Kya nazm likhay koi
Jab khawab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkol gadaei ka
Shaair ko diya jaye
Aur rook liya jaye
Jab shaer utarnay say
Baadal say zara oopar
Taaron say zara neechay

Kya khaak likhay koi
Jab khaak ke medaan par
Ungli ko hilanay se
Toofan nahin uthta
Jab shaakh peh imkan ki
Is dasht_e_tamanna mein
Ik phool nahin khilta

Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik dour ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata

Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soti
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Bey chain nahin hota
Dehleez ke pathar se
Takra ke jabeen apni
Ik shakhas nahin rota

Jab neend ke shedaei
Khawabon ko tarastay hain
Aur dekhnay ke aadi
Binaei se dartay hain
Reh Reh ke andheray sayy
Aankhon mein utartay hain

In phool se bachoon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon se chalein ghar mein
Is farsh peh mitti ke
Ab ghaas nahin ugti
Ab Saanp nikaltay hain
Deewar se aur darr se

Ab noor ki boondon se
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay ke
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Ab noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti

Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti

Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jab baat ke honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !

Advertisement
· 1 Like · Jan 02, 2015 at 00:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jo baat hai
Posted by daud bhatti
Posted on : Nov 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS