Poetry / Sad

koii batlaaye mujhe
mere in jaagte KhwaaboN ka muqaddar kya hai?
maiN k har shai kii baqa jaanta huuN
uRte lamhoN ka pata jaanta huuN
sard aur zard sitaaroN kii taga pu kya hai
rang kya chiiz hai, Khushbu kya hai
subah ka saher hai kya, raat ka jaadu kya hai
aur kya chiiz hai aawaz-e-saba janta huuN
ret or naqsh-e-qadam, mauj ka ram
aankh aur goshaa-e-lab, zulf ka Khham
shaam or subah ka gham
sab kii qismat hai fana, jaanta huuN
phir bhi yeh Khwaab mire saath lage rehte haiN
jaagte Khwaab k jin ki koii taabeer nahiiN
koii tafseer nahiiN
suurat-e-zaKhm hare rehte haiN
mere haathoN se pare rehte haiN
jaagte Khwaab ki taabeer muqaddar Theheri
zindagi mere liye gumbad-e-bedar Theheri
maiN k aawaaz-e-saba janta huuN
uRte lamhoN ka pata jaanta huuN
aur har shai kii baqa jaanta huuN!

Advertisement
· 1 Like · Dec 21, 2016 at 16:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Zeba Bakhtiyar
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS