Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

koi khwab dasht-e-firaq mai sar-e-sham chehra kusha huwa
meri chashm-e-tar mai ruka nahi kay tha rut jago ka dasa huwa


mery dil ko rakhta tha shadma’n, meray hont rakhta tha gulfisha’n
wohi ek lafz jo ap nay mery kaan mai hai kaha huwa



hai nigah mai meri aj tak woh ek niga’h koi jhuki huwi
woh jo dehan tha kisi deha’n mai, wohi aj bhi hai laga huwa



mery rat-jago’o kay fishar mai, meri khwahisho’n kay gubar mai
wohi ek wada gulab sa sar-e-nakhl-e-jaan hai khila huwa



teri chashm-e-khush ki pana’h mai kisi khwab zar ki rah mai
mery gham ka chand thehar gya kay tha raat bhar ka jaga huwa



hai ye mukhtasir rah-e-ishq par, nahi ap hum rahay hum safar
to ho kis liye ye mubahisa, kaha! kon! kasay! juda huwa



kisi dil kusha si pukar say usi ek bad-e-bhar say
kahi barg barg namo mili, kahi zakhm zakhm hara huwa



tery shehr-e-adal say aj kya sabhi dard-mund chalay gaye!
nahi kaghzi koi perhan, nahi hath koi utha huwa ,

Advertisement
· 2 Like · Jun 05, 2016 at 08:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Chukandar
Posted by Abdul Qaddoos
Posted on : Oct 30, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS