Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

yeh sheshay yeh sapnay yeh rishtye yeh dhaagay

kisay kya khabar hai kahan toot jayen

muhabbat kay darya mein tinke wafa kay

nah janay yeh kis more par doob jayen


ajab dil ki bastii ajab dil ki waadi
har ik more mousam nai khawahishon ka


lagaye hain hum nay bhi sapnon kay poday

magar kya bharosa yahan baarishoo ka


muradon ki manzil kay sapnon mein khoye

muhabbat ki raaho peh hum chal parrey thay

zara dour chal kay jab ankhain khulein tou

kari dhoop mein hum akailey kharay thay


jinhein dil say chaha jinhein dil say pooja

nazar arhay hain wohi ajnabi say

riwayat hai shayad yeh sadiiyon purani

shikayat nahi hai koi zindagi say ,

Advertisement
· 1 Like · Jul 21, 2016 at 07:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jumma ka Din Ghusl
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Nov 12, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS