Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
khatm ye rooh ka aazaar krna chahta hun
mein apni zaat ka inkaar krna chahta hun
mujhey khabar hae terey raastey ka pathar hun
so teri raah ko hamwaar krna chahta hun
wafa k zikr se honay lagi hae wahshat si
ab apney jhoot ka iqraar krna chahta hun
mein apni ghaat me betha hua hun muddat se
per aaj khul ke zra waar krna chahta hun
mein terey saamney aya hun le kr aaina
ye dekh tujh ko shramsaar krna chahta hun
meri majaal kahan aap ko ghalat keh dun
bus ik khyaal ka izhaar krna chahta hun
agar gunah yehi hae ke sach kaha mein ne
to phir gunaah bar bar krna chahta hun

Advertisement
·
1 Like ·
Apr 30, 2017 at 20:04
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video