Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kahin Tum Apna Likha badal Letay
Tu Shayed Hum Bhi Apna qissa Badal Letay


Gar Hum Waqaie Kam Hosla Hotay Mohabbat Main
Marz Barhney Say Pehlay Hi Dawa Badal Letay


Tumharay Rah Badalney Ki, Jo Humain Pehlay Khabar Hoti
Bohat Pehlay Hum, Apna Faisla Badal Letay


Tumhain In Mousamon Ki, Kya Khabar Milti Agar Hum Bhi
Ghutan Key Khouf Say Ab o Hawa Badal Letay


Tumhari Tarah Jeenay Ka Hum Ko Hunar Aata Tu Shayed
Makan apna Wohi Rakhtey, Raasta Badal Letay


es Kahani Main Bhi Wohi Kirdar Thay Bas Faqat
Kabhi Chehra Badal Latey, Kabhi Qaba Badal Letay


Aaj Ye Halaat Nahi Hotay, Zindagi Bhi Sehel Hoti
Jo Hum Zid Na Kertay Apna Apna Raasta Badal Letay


Humesha Ki Tarah es Baar Bhi Hum Bol Uthay Warna
Gawahii Dainay Walay Waqiya Badal Letay


Bohot Dhundla Gaye Hain, Yaadon Ki Rim Jhim Main
Woh Mil Jata Tu Shayed Hum Bhi, Aaina Badal Letay

Advertisement
· 1 Like · May 11, 2017 at 19:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Pakistan Army Ke Jawaan
Posted by Uzma Shaheen
Posted on : Sep 06, 2014

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS