Poetry / Sad

Kahin miley to us sey yeh kehna …
K tanha savan bita chuka hoon
Main sare armaan jala chuka hoon
Jo sholay bikhray thay khowishon k
Wo ansoun se bhujha chuka hoon
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka qyas hoon main
Bujha de apni muhabat se
Sulagti sadion ki pyas hoon main
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Wo jazbey mere uchaal gia hey
Jafaa k sanchay me dhal gia hey
Na badley mousam b itna jaldi
Wo jitna jaldi badal gaya hey
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Main chaak daman ko see raha hoon
Bohat hi mushkil main jee raha hoon
Diya jo nafrat ka zehar usney
Samaj k amrat wo pee raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Faseel-e-nafrat gira raha hoon
Gaye dinon ko bhula raha hoon
Wo apney wadon sey phir gaya hey
Main apney waadey nibah raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Yeh kesi uljan main jee raha hoon
Main apney saye se darr raha hoon
Jo ho sakey to samait ley wo
Main tinka tinka bikhar raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Na dil main koi malal rakhay
Hameshaa apna khial rakhay
Wo saray gham apnay mujko de day
Tamam khushian wo sambhal rakhay
Kahin milay to us sey yeh kehna
KAHIN MILEY TO US SEY YEH KEHNA...!

Advertisement
· 1 Like · Oct 03, 2017 at 07:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS