Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Kah rahi hai hashr mein wo aankh sharmai hui
haye kaise is bhari mahafil mein ruswai hui
aaine mein har ada ko dekh kar kahate hain wo
aj dekha chahiye kis kis ke hai aayi hui
kah to ae gulchin asiran-e-qafas ke vaste
tod lun do char kaliyan main bhi murjhai hui
main to raz-e-dil chupaun par chipa rahane bhi de
jan ke dushman ye zalim aankh lalchai hui
gamza-o-naz-o-ada sab mein hai haya ka lagao
haye re bachpan ke shokhi bhi hai sharmai hui
vasl mein khali hui raqibon se mahafil to kya
sharm bhi jaye to janun ke tanhai hui
gard udi aashiq ke turbat se to jhunjhala ke kaha
vah sar chadhane lagi paoun ke thukarai hui.

Advertisement
· 0 Like · Jul 18, 2018 at 01:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS