Poetry / Sad

Abdul Qadeer

Kabhi tu ne khud bhi socha k ye pyaas hai to kyon hai
tujhay paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyon hai
mujhay kyon azeez tar hai ye dhuaan dhuaan sa mosam
ye hawa-e-shaam-e-hijran mujhay raas hai to kyon hai
tujhay kho k sochta hon mere daaman-e-talab mein
koi khwaab hai to kyon hai, koi aas hai to kyon hai
main ujar k bhi hon tera, tu bicher k bhi hai mera
ye yaqeen hai to kyon hai, ye qayaas hai to kyon hai
mere tan-barehna dushman isi gham main ghul rahay hain
k mere badan pe saalim ye libaas hai to kyon hai
kabhi pooch is k dil se k ye khush mizaaj shaair
bohot apni shaayiri main jo udaas hai to kyon hai
tera kis ne dil bujhaaya mere AiTeBar SajiD
ye chiraagh-hijr ab tak tere pass hai to kyon hai...!

Advertisement
· 0 Like · Oct 19, 2018 at 13:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS