Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
Zameen k zakham haray ho gaye hain paani se

Dhale hain ashak shab e ghum bari rawani se
charagh ham ne jalaye hain iskey paani se

Na kaam aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh badgumaan hi hua aur khushbayani se

Main chahta hun tumhara bharam rahe qayam
Nikaal do mere kirdaar ko kahani se

Mujhe bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila kamaal ye dushman ki meherbani se

Kisi se kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuban ka kaam liya maine be zubaani se

Abhi zameen se nahi rabta mera AIJAAZ
Guzar raha hoon abhi daur-e-asmaani se

Advertisement
· 2 Like · Mar 06, 2017 at 05:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS