Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Haseen Lagta Tha Hum Ne Jin Dino Mein Usko Dekha Tha
Basanti Mosamon , Bheegi Ruton Mein Usko Dekha Tha

Usi K Aks Ne Ankhain Khumaar E Khuvaab Se Bhar Dain
Chamaktey Chand Jesey Aaiino Mein Usko Dekha Tha

Jisey Ab Rait K Kachey Gharondon Se Mohabbat Hai
Sumander K Sunehrey Paniyun Mein Usko Dekha Tha

Jo Tanhayee Ki Chadar Orh Kar Sota Hai Rasston Mein
Kabi Is Shehar Ki Sab Mehfilon Mein Usko Dekha Tha

Bagolon Ko Pehan Kar Ab Jo Sehra Mein Bhatakta Hai
Gulab-O-Yasmeen K Junglon Mein Usko Dekha Tha

Jo Apney Qarya E Dil Ki Udasi Se Behalta Hai
Ghataon Mein Ghiri Ghum Bastiyun Mein Usko Dekha Tha

Zaroorat Hai Jisey Ab Dhoop Ka Ujla Kafan Mohsin
Badan Par Baraf Orhey Parbaton Mein Usko Dekha Tha

Advertisement
· 1 Like · Oct 20, 2016 at 15:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

hahahahahaha
Posted by mehwish jatt
Posted on : Nov 05, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS