Poetry / Sad

Shahida Malik

Gum Sum Hua, Awaz Ka Darya Tha Jo Ik shakhs
Pathar Bhi Nahin Ab Wo Sitara Tha Jo Ik shakhs

Aey Taiz Hawa Koi Khabar Isky Janon Ki
Tanha Safar Shoq Pe Nikla Tha Jo Ik shakhs

Ab Akhri Sutron Me Kahin Naam Hai Uska
Ahbab Ki Fehrist Me Pehla Tha Jo Ik shakhs

Hathon Me Chhupaey Howy Phirta Hai Kae Zakham
Shishay Ke Khilono Se Behta Tha Jo Ik shakhs

Ab Us Ne Bhi Apna Liay Duniya Ke Qarinay
Saey Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ik shakhs

Munkar Hai Wohi Ab Meri Pehchan Ka Mohsin
Aksar Mujhy Khat Khon Se Likhta Tha Jo Ik shakhs...!

Advertisement
· 1 Like · May 23, 2018 at 19:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

USB Differance
Posted by kashif qureshi
Posted on : Aug 18, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS