Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ghar Mom Ka Pehlay To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata

Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Peh Koi Hukam Chalaaya Nahin Jata

Mein Apney Girebaan Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata

Mill Jaaye Agar Paisa, Uthaa Letey Hein Pal Main
Insaan Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata

Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Kaisey Mitaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bujhaaya Nahin Jata

Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai Ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata...

Advertisement
· 1 Like · Sep 15, 2016 at 06:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

WHAT DO u THINK???
Posted by Gulzar Ahmed
Posted on : Aug 30, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS