Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gham-E-Hijr-E-Yaar Kab Tak Rahoon Be-Qaraar Kab Tak?
Mere Dil Bata Yeh Mujh Ko Karoon Us Ko Pyar Kab Tak?

Ye Hujoom-E-Naa-Muraadi Gham-E-Be-Shumaar Kab Tak?
Teri Baat Kaa Bharosa Tera Intizaar Kab Tak?

Shab-E-Hijr Ki Udaasi Kaheen Mujh Ko Le Na Doobe!
Meri Dharkanon Peh Ho Gaa Teraa Ikhtiyaar Kab Tak?

Nah Hi Aaj Kaa Bharosa, Nah Hi Kal Ki Hain Umeedein
Teri Reh-Guzar Takoon Main, Shab-E-Wasl-E-Yaar Kab Tak?

Jahaan Dekhiye Andheraa! Jahaan Sochiye Udaasi!
Raah-E-Zindagee Mein Yaa Rab! Rahe Gaa Ghubaar Kab Tak?

Main Nikal Paraa Thaa Tanhaa, Liye Saare Ranj Dil Par
Magar Phir Khayaal Aayaa Ke Sahoon Ye Baar Kab Tak?

Meri Aankhein Tak Rahin Hain Teri Waapsi Ki Raahein
Tu Hi Ab Bataa De Mujh Ko Karun Intizaar Kab Tak?!

Mujhe Yoon Tou De Gayaa Hai Woh Dilaasa Jaate Jaate
Magar Ab Yeh Sochta Hoon Karoon Etibaar Kab Tak?

Advertisement
· 1 Like · Oct 07, 2016 at 12:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Baap beti ka pyar.
Posted by shagufta yasmeen
Posted on : May 06, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS