Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ek muddat hoi ek zamana hua
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hoi
zindagii kaa chalan mujremana hoa

phuul jalate rahe chand hansta raha
aarazuu ka muqamal fasana hoa

daaG dil ke shehanshah ke sikke bane
dil kaa muflis kada jab Khazana hoa

rahbar ne palaT kar na dekha kabhi
rah o raaste ka nishana hoa

ham jaha bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aastana hoa

pahale hoti thi koi vafaa par vari
ab to "SaaGar" ye qisa purana hoa

Advertisement
· 1 Like · May 25, 2017 at 20:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS