Poetry / Sad

Amin Lakhan

Dil ke sunsan jaziron ki khabar layega..
dard pahlu se juda ho ke kaha jayega..
kaun hota hai kisi ka shabe-tanhai me..
game-furqat hi ghame-ishq ko bahalaye ga..
Chand ke pahlu me dam sadh ke roti hai kiran..
Aaj taron ka fusu khak nazar aayega..
Rakh me aag dabi hai ghame-maharumi ki..
rakh ho kar bhi ye shola hame sulgayega..
waqt khamosh hai ruthe hue yaro ki tarah..
kaun lau dete hue zakhmo ko sahlayega..
Dhup ko dekh ke us jism pe padti hai jhamak..
chhaon dekhenge to uss zulf ka dhyan aayega..
zindagi chal kii zara maut ka damkham dekhe..
warna ye jazba lahad tak hame le jayega..!!!

Advertisement
· 0 Like · Jun 30, 2018 at 19:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Chicken festival party box
Posted by iJunoon
Posted on : May 20, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS