Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
kitni muddat baad tumhari yaad aai hai
yun lagta hai jaisay dil yeh ruk jaye ga
yun lagta hai jaisay ankhain
apnay saaray ansu ro kar
bilkul banjar ho jayen gi
yun lagta hai jaisay pichaly mousam phir say lout aaye hain
janan yeh dil khush rehnay kay
tour tareeqay bhool chuka hai
is par aisay yaad ki dastak
yun lagta hai jaisay dil par
aik qiyamat guzar rahi ho
koi tufaaan aan khara ho
jaisay aik akeli nao
beech bhanwar kay aan phansi ho
yun lagta hai jaisay sapnay
aik haqeeqat ban baithy hon
itni muddat baad tumhari yaad aai hai
soch raha hon kya is ki tazeem karoon mein
palkon pr, ashqo kay deep jala laita hon
dil kay ujrre aangan ko mehka laita hon
dil kehta hai phir khud ko taqseem karoon mein
itni mddt baad tumhari yaad aai hai
yun lagta hai jaisay pichaly mousam phir say lout aaye hon

Advertisement
·
1 Like ·
Jan 26, 2018 at 15:01
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video