Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bayan- E- Dil Mein Hawalay Na Dey Kitabon Se
Dikha Ke Mujh Ko Yeh Soraj Jaga Na Khawbon Se

Ager Tu Chand Hia Mein Asma'n Hon Chahat Ka
Guzar Kabhi Tu Meri Kehkshan Ke Baboon Se

Sajana Chor Dey Balon Mein Phool Mati Ke
Mein Tere Sehan Ko Bhar Donga Ab Gulabon Se

Mujeh Khabar Thi Meri Justaju Mein Tum Bhi Ho
Bhala Yoonhi Mein Ulajta Tha Kab Sarabon Se

Jo Ek Umer Raha Hum Safar Baharon Ka
Woh Khak Orh Ke Lauta Hia Ab Kharabon Se

Mein Parhna Chahon Kitabein Tau Parh Nahi Sakta
Mujeh Hia Pyar Teri Yaad Ke Nisaboon Se

Tumara Hath Hia Safdar Ke Zinda Machli Hai
Kasa Hai Dil Ko Hatheli Pe Kin Tanaboon Se

Wafa Ke Phool Shafaq Zindagi Ka Hasil Hian
Bacha Ke Laya Hon In Ko Kayee Azaboon Se...!!!!,

Advertisement
· 1 Like · Apr 28, 2016 at 03:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Mahason k Liye
Posted by Hafiz Usman
Posted on : Jun 08, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS