Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

barish hui tou phoolon kay tan chaak hogaye
mousam kay hath bheeg kay safaaq hogaye

badal ko kya khabar hai keh barish ki chah mein
kaisay buland o baala shajar khaak hogaye

jugno ko din kay waqt parkhnay ki zid karien
bachay hamaray ehad kay chalaak hogaye

lehra rahi hai barf ki chadar hata kay ghaas
sooraj ki sheh peh tinkey bhi bebak hogaye

bastii mein jitnay aabb guzida thay sab kay sab
darya kay rukh bdalty he tairaak hogaye

sooraj dimagh log bhi Ablaagh fikar mein
Zulf-e-shab-e-firaaz kay pechak hogaye

jab bhi Ghareeb-e-shehar say kuch guftagu hui
lehjay hawaye shaam kay nmnak hogaye

Advertisement
· 2 Like · Jul 29, 2016 at 16:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Na Maloom Afraad - Music Launch
Posted by Na Maloom Afraad
Posted on : Sep 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS